Monday, September 17, 2012

Coder Pandey – Forever Alone ..

Click here to read in lightbox mode

Coder Pandey – Forever Alone ..
Main hoon Coder Pandey
Jo coding k liye apni jaan de.
Mai din bhar coding karta hun
Nahi Duniya se mai darta hun.
Suabh se leke raat tak
Dhoop se barsat tak.
Sardi ho ya garmi ho
Coding hi meri karni ho.

CodeChef ho ya ho spoj
Coding karke aati mauj.
Coding k liye raat bhar jagta
Choti companies k muh nahi lagta
Mujhe facebook leke jayegi
Google ko meri yaad ayegi
Microsoft mere kadmo me hogi
Aur mai punchunga “Kitna dogi ?”

Nahi karta hun college ki padhai
Bas coding me hai dhoom machai
Ek raat me syllabus complete
Ache achon ko phir kia defeat
Pointers bhi maintain hai
Kyunki faad mera brain hai
Jindagi me nahi koi gam hai
Isiliye meri coding me dam hai.

Jo bhi mere samne aata
Uski maa ka saaki naaka.
Phir bhi kismat mujhpe hansti
Coder ko ladki nahi phansti.
Mil bhi gayi to tik nahi pati
Kyunki lappi hai mera jeevansathi.
Woh puche aaj ka kya program hai
Mai bolu Codechef pe 3000 inaam hai

Usne pucha kya kya pasand hai
Mai bas bola 2 din se coding band hai.
Isliye nahi milti mujhe koi bhi ladki
Dost bhi ab mujhe kehte hain tharki.
Koi nahi hai apna, bas coding hi mere sath hai
Code dekh k ladkiyan bole, wah “bhai” kya baat h.
Yahi sunke khush ho lete ki kahin to hum don hai
Warna to apni life hamesha forever alone hai.



Main hoon Coder Pandey
Jo coding k liye apni jaan de.
Mai din bhar coding karta hun
Nahi Duniya se mai darta hun.
Suabh se leke raat tak
Dhoop se barsat tak.
Sardi ho ya garmi ho
Coding hi meri karni ho.

CodeChef ho ya ho spoj
Coding karke aati mauj.
Coding k liye raat bhar jagta
Choti companies k muh nahi lagta
Mujhe facebook leke jayegi
Google ko meri yaad ayegi
Microsoft mere kadmo me hogi
Aur mai punchunga “Kitna dogi ?”

Nahi karta hun college ki padhai
Bas coding me hai dhoom machai
Ek raat me syllabus complete
Ache achon ko phir kia defeat
Pointers bhi maintain hai
Kyunki faad mera brain hai
Jindagi me nahi koi gam hai
Isiliye meri coding me dam hai.

Jo bhi mere samne aata
Uski maa ka saaki naaka.
Phir bhi kismat mujhpe hansti
Coder ko ladki nahi phansti.
Mil bhi gayi to tik nahi pati
Kyunki lappi hai mera jeevansathi.
Woh puche aaj ka kya program hai
Mai bolu Codechef pe 3000 inaam hai

Usne pucha kya kya pasand hai
Mai bas bola 2 din se coding band hai.
Isliye nahi milti mujhe koi bhi ladki
Dost bhi ab mujhe kehte hain tharki.
Koi nahi hai apna, bas coding hi mere sath hai
Code dekh k ladkiyan bole, wah “bhai” kya baat h.
Yahi sunke khush ho lete ki kahin to hum don hai
Warna to apni life hamesha forever alone hai.



0 comments:

Post a Comment

 

Copyright © Youth Blog Design by Free CSS Templates | Blogger Theme by BTDesigner | Powered by Blogger